In this blog you can find anything what you want, so Friends be ready to scroll the whole world amazing facts, and their whole things which you want to know in a shocking way.

Top 10 Five Star Luxurious Hotels In Udaipur


Agar aap tourist ho toh aapki ek requirement ya iccha hogi hi ki aap jaha bhi jaaye us jagah ka badhiya view le sake.

Aur us jagah accha feel kar sake, toh is post me hum aapko Udaipur- The lake City ke Top 10 Hotels Batane ja raha hain.

Top 10 Five Star Luxurious Hotels In Udaipur


  1. Taj Lake Palace
  2. The Oberoi Udaivillas
  3. The Leela Palace
  4. Trident
  5. Jalwana Haveli
  6. Mahendra Prakash
  7. Hotel Aashiya Haveli
  8. Devra
  9. Jagat Niwas Palace
  10. Dayal Hotel

1. Taj Lake Palace


Hotel Taj Lake Palace

Taj Lake Palace ek island hai Lake Pichola par, jo ki puri tarah White marble se bana hua hain. Ye hotel India ki Best romantic hotels me se ek maani jaati hain.

Luxury Room se lekar sabhi Suites itne decorated hai ki koi bhi couple yaha ek baar toh rukna hi chahega. Double Bed luxury room ki rate yaha lagbhag 36000 rs. hain. Aur Grand Presidential Suite ko puri tarah book karne ki rate lagbhag 6 lakh hain.

Ye India ki sabse costly Hotels me se ek hain.


2. Hotel Oberoi Udaivillas


Hotel Oberoi Udaivilas

Oberoi Udaivillas apne aap me ek Traditional Indian Palace hain. Ye ek Aisa hotel hai, jiska architecture Rajasthani Mahalo se liya gaya hain. Jo ki Rajasthan ke Mewar rajao ki shaan, unke rehen-sehen, unki royality dikahata hain.

Ye Palace puri tarah se ranga rang hue domes se bhara hua hai, sath hi yaha par hath se bani paintings bhi ki gayi hain. Aur bhot hi pyara mirror work bhi hai, jo ki hume bhot hi khubsurat Craftwork facts dikhata hain.


3. The Leela Palace

Hotel Leela Palace

Leela Palace Lake Pichola ke hi Kinare par bana hua hai, aur ye hotel royal feel ke liye sabse best hotel hain. Yaha se Arawali mountains ka view  Bhot hi gorgeous dikhta hain.

Agar aap yaha stay karte hai toh aapko yaha puri tarah royal enviornment milega. Agar aap yaha Standard Lake View Room lete hai toh uski rate hogi 26000rs. Aur agar aap Maharaja Suite lete hai toh uski rate 2lakh rs. hain.


4. Hotel Trident


Hotel Trident

Ye Lake Pichola ke kinare par bani lagbhag 43 acres ki ek hara bhara landscape dene wali hotel hain. Hotel Trident me jane ke liye aapko city center se lagbhag 10 minute hi lagenge.

Trident me sabhi rooms beige(bhadmela) shades aur light creame colour me bane hue hain. Aur ye hotel bhi puri tarah udaipur ki purani architecture art ko hi reflect karta hain.


5. Hotel Jaiwana Haveli


Hotel Jaiwana Haveli


Hotel Jaiwana Haveli Lake Pichola ke purvi kinare par bani hui hain. Pehle hotel ek Thakur Jalwana ka Private residence tha. Lekin baad me ye ek hotel me convert hogya, jisme 24 room bane hue hain.

Ye hotel chamkate hue pani aur Pichola lake me bane Palaces ka sidha view deta hain. Ye hotel Royal Rajputana style me designed hai, aur is hotel me ek ROOF TOP restaurant bhi hain.


6. Hotel Mahendra Prakash


Hotel Mahendra Prakash


Hotel Mahendra Prakash Rajasthani tradion ke hisab se bana hua hain. Ye udaipur ki ek jaani-maani hotel me se ek hain. Hotel Mahendra Prakash ek family hotel hai, jo havelli style me bana hua hain.

Is hotel me 26 room hain jo ki Rajputo ki shaan se relative show hote hain. Hotel Mahendra Prakash Lake palace Road par hain, jaha se Sajan Niwas Garden ka view bhi dikhta hain.


7. Hotel Aashiya Haveli


Hotel Aashiya Haveli

Hotel Aashiya Haveli ek purani Haveli hai jisne abhi tak purani manyata aur traditions ko barkarar rakha hain. Ye hotel Lake Pichola ke purvi kinare par bani hui hain. Hotel Aashiyan Haveli ek pure vegetarian hotel hai jisme sabhi modern facilities bhi guests ko di jati hain.


8. Hotel Devra


Hotel Devra

Hotel Devra ek bhot hi pyara hotel hai, jo ki lagbhag 5 acres me fela hua hain. Ye hotel Aravali Hills ki god me mountains par bana hua hain. Is hotel ki bahari diware puri tarah stones se bani hui hain.

Ye mountains par hone ki wajah se bhot acche views deti hain. Yaha se City Palace, Lake Pichola aur Lake Palace, Udaipur ka ek alag hi nazara dekhne ko milta hai, jo aapko aur kisi hotel me nahi milega.


9. Hotel Jagat Niwas Palace


Hotel Devra

Hotel Jagat Niwas Palace, 17th century ki ek Haveli hai, jo ki bhot romantic cities Udaipur me bani hui hain. Ye hotel puri tarah se purani haveliyon aur mandiro se giri hui hain.

Hotel Jagat Niwas purane Mewar Architecture ki ek jhalak dikhata hain. Jo ki visitors ko ek bada relax aur Haveli atmosphere ka feel deta hain. Is hotel se bhi bhot hi acche views dekhne ko milte hain. Aur sath hi Udaipur se sabhi Palaces ka view bhi milta hai jaise- City Palace, Lake Palace, Monsoon Palace.


10. Dayal Hotel


Hotel Dayal

Dayal Hotel ek bhot hi well-decorated aur comfortable hotel hain. Aur ye Lake Pichola aur Fatehsagar se bas kuch hi minutes ke fasle par hain.

Ye hotel Udaipur ki city ki chehel-pehel aur vaha ke market se ghiri hui hain. Dayal Hotel se bhi visitors Udaipur city real business markets aur rehen-sehen ka luft utha sakte hain.


Toh ye hai Top10 Five Star Luxurious Hotels In Udaipur. Agar aapko yeh post pasand aayi hai, toh comment, share aur blog ko subscribe jarur kare.

5 comments:

  1. I found this one pretty fascinating and it should go into my collection. Very good work! I am Impressed. hotels in kodak sevierville tn

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. Looking for the best budget hotels in civil lines, jaipur? Hotel Shahar Palace is the Best budget hotel to stay in jaipur. it has a great location and is very affordable.

    Best Budget Hotel in Jaipur

    ReplyDelete
  4. Luxury Rooms
    redefine the travel experience, offering a blend of opulence and impeccable service.

    ReplyDelete

Tags

Blog Archive