In this blog you can find anything what you want, so Friends be ready to scroll the whole world amazing facts, and their whole things which you want to know in a shocking way.

Top 10 Tips: Wajan (Weight) kaise badhaye


Patla(thin) hona buri baat bhi nahi hain. Lekin kai Log itne Duble-Patle hote hai ki body me Energy hi nhi rehti. Vo jab Public me ya friend circle me hote hai tab kuch jyada hi Duble-patle hone se sab friend unhe chidate hain.
Duble-Patle hona unki kamjori nahi hain. Vo koshish bhi karte hai weight badhane ki aur kai medicin bhi lete hain. Lekin jab tak body ko bhuk hi nahi lagegi weight badhega kaise?  Yaa fir vo jo Diet le rahe hai usme jyada calories aur carbohydrate hai yaa nhi?
Gain weight

Weight Naa Badhne Ke 4 Main Reasons

  1. Bhuk ki kami hona
  2. Sahi Diet na hona
  3. Time par Breakfast/lunch/dinner na karna
  4. Jyada calories wali diet na lena.

Top 10 Tips- Weight Kaise Badhaye/ How To Gain Weight In Hindi

1. Paani Jyada Piye

Ek din me kam se kam 4 litre paani piye.  Jyada paani peene se body ke nuksaan dayak particles bahar aa jaate hain. Paani ki matra body me jyada hone se Khana sahi tarike se aur jaldi Digest hota hain. Paani jyada peene se exercise karne par weakness feel nhi hoti.

2. Doodh Aur Kela Khaye

Kele(Banana) me jyada matra me Calories, Carbohydrates aur Potassium hota hain. Jisse Body me kuch hi der me Energy aa jaati hain. Sath hi doodh bhi Energy se bhara hua hota hain. Doodh or kele ka sevan karne se body me jyada energy  milti hai aur bhuk bhi jyada lagti hain. Weight badhane ke liye kele aur doodh ka sevan jarur kare.

3. Yoga/ Exercise Kare

Yoga/exercise karne se body ki muscles khul jaati hain. Exrecise karne se Bhuk jyada lagti hain aur khana bhi jaldi digest ho jaata hain. Ek fix time rakhe yoga/exercise karne ka. Aur agar morning time rakhe toh ye bhot hi accha rahega apki body ke liye. Exercise karne ke 30mint. baad bearkfast le or sath me ek glass doodh jarur le.

4. Dry-Fruit Khaye

Weight badhane ke liye Dry-fruit bhot hi helpful hote hain. Daily morning me kam se kam  3-4 piece kaju, Badam, Kishmish aur Akhrot khaye . Agar ho sake to raat ko sone se pehle Doodh ke sath 2-3 Badam khaye. Isse aapko weight badhane  me madad milegi or body me energy bhi rahegi. Aur sath hi 10-15 piece kishmish raat ko paani me bhigo kar rakhe aur subah uthkar khaye. 1 mahine tak agar aap ye regular kar le to aapko asar dikhne lagega.

5. Egg Khaye

Agar aap non-veg khate hai ya egg khate hai to ye apke liye bhot hi faayde mand hain. Egg me bharpur matra me Protein aur Calorie hoti hain. Egg se body ko bhot hi jyada energy milti hain, aur sath hi isse muscles bhi develop hoti hain. Boil egg ya omlets khane se body me pure din energy rehti hain. Aur sath hi isse weight bhi jaldi badhta hain. Esa regular 1-2 month karne par aapko 5-6 kg tak weight gain hone lagega.

6. Aaloo Khaye

Aaloo ko boil karke daily nashte (Breakfast) me khaye. Aaloo me Carbohydrate ki matra jyada hoti hai, jisse weight  badhane me madad milti hain. Aaloo ke chips ya French Freis khaye jisse jaldi aapko asar dikhne lagega.

7. Khana Sahi Dhang Se Khaye

Jyada khana khane se weight nahi badhta.  Khane ko sahi dhang se khane par hi asar hota hain. Jab bhi khana khaye tab pet bharke(Full diet) lene ki bajaye khane ko din me chote chote tukdo me 5-6 bar khaye. Isse khana digest bhi jaldi hoga aur bhuk bhi jyada lagegi.

8. Prayapt Nind Le

Weight badhane ke liye sabse jaruri cheej hai- Prayapt  neend. Isse body me alas nahi rehta. Prayapt neend lene se body me metabolism badhta hain jisse weight badhane me madad milti hain. Kam se kam 8 ghante ki neend jarur le.

9. Meditation Kare

Agar aap apni body ka accha frame chahte hai toh aapko yoga aur exercise ke sath hi meditation bhi start karna hoga. Kyunki meditation se humari inner body majbut hoti hai aur sath hi stamina bhi badhta hain. Agar aap sach me apne kuch buri habits par control karna chahte hai toh ye aapke liye bhot helpful rahega.

10. Ayurvedic Chizo Ka Sevan Kare

In chijo ka sevan jyada kare ya daily kare
  • Ashwagandha
  • kirat
  • Chawanprash
  • Yastimadhu
  • Adarak
  • Satwari kalp
Agar aapko ye Top 10 Tips- Weight Kaise Badhaye ki post pasand aayi. Toh comment, share aur blog ko subscribe jarur kare.

5 comments:

  1. Herbal weight gain treatment has found a unique formulation by having it, anyone can gain weight without exercising, yoga or fasting. If you want more information regarding weight gain.

    ReplyDelete
  2. Very useful post. Try some natural ways to gain weight because of its effectiveness. Visit http://vetollxl.com/

    ReplyDelete
  3. Nice post. It provides us very useful information. Gain weight fast with the natural weight gain supplement. It delivers healthy weights as promised.

    ReplyDelete
  4. Thanks for sharing very useful tips. Increase weight fast with the use of herbal supplement for weight gain because of its effectiveness.

    ReplyDelete

Tags

Blog Archive