Jaha pyar mohabbat ki baat hoti hain vaha Taj mahal ki baat na ho aisa impossible hain. Pyaar aur tyaag ki nishani Taj Mahal ke baare me har koi jaanta hai. India ki sabse historical building Taj Mahal ko duniya bhar me apni alag hi pehchan mili huyi hain.
Vaise Taj ke bare me kai insteresting facts hai, jo sabhi jaante hain. But iss post me wo insteresting facts hai jise aapne isse pehle na kahi padhe honge na kahi sune honge, toh aaiye jaante hai kya hain wo facts.
Top 10 Amazing Facts About Tajmahal
1. Taj ki aajtak koi nakal nahi kar saka, banwana bhi chahe toh nahi banwa sakta because aisa karpana impossible hain. Kyunki dekha jaye toh Shah Jahaan ne Taj ko banane wale majdooro ke haath katwa diye the, taaki koi or aisi imaarat naa banwa sake.2. Taj duniya ke 7 ajuboo me shamil hain. Taj ko dekhne har saal 40 lakh log aate hai ismese 70% hi bhartiya hote hain.
3. Taj mahal ko Shah Jahaan ne banwaya aisa koi saboot nahi hain.
4. Taj mahal ko banane ki shuruaat 1632 me start hokar 1653 tak chala, iss tarah Taj ko banwane ka kaam 22 saal chala, ise India ke alawa turkey ke majdooro ne banaya tha.
5. Taj ke aas paas jo 4 imaarat hai wo Taj ko majbooti deti hain. Ye minaare 41.6 meters ki hai, ye thodi baahar ki taraf juki huyi hai iska reason hai kabhi bhi gire toh makbare ko nuksaan naa ho.
6. Taj mahal yamuna nadi ke kinaare par bana hua hain, iske nichle hisse me aisi lakdi lagayi huyi hain jo nami me or majboot hoti hain. Ye Agra me aaya hua hain.
7. Taj mahal ko 28 tarah ke keemti pattaro se banaya gya jise angrejo ne nikal diya tha.
8. Taj ko banane ke liye lagbhag 3 crore ka kharch aaya jo aaj ke time me 63 arab or 77 crore ke barabar hain.
9. Taj tak ponchne ke raste me fawware lagaye huye hain. Isme koi pipe laga hua nahi hai, ye us time ki technology ka kamaal hain.
10. Shah Jahaan, Taj jaisi hi ek kaali (Black) colour ki imaarat banana chahte the. But unke bete dwara kaid me rakhne ke kaarn nahi bana sake.
Friends "Top 10 Amazing Fact About Tajmahal In Hindi" ka article aapko kaisa laga, ye hume comment karke btaiye aur ise apne friends ke sath social media facebook, google plus par bhi jarur share kare Thankyou.
0 comments:
Post a Comment