Top 10 Amazing Things About Ranakpur Jain Temple
1. Attractive Temple
Rajasthan ke shaandar mahalo aur kai bade kilo ke bich, Ranakpur Jain Mandir ka aakarshan aaj bhi logo ko bhot hi aakarshit karta hain.2. Temple Location
Ye mandir 15th century me bana tha, aur ye mandir aisi jagah basa hua hai jo na toh koi sheher aur na hi koi gaanv me basa lagta hain aur ye puri tarah ghane junglo aur aravali ki pahado se ghira hua hain.3. Amazing Fact About Pillar
Is mandir me lagbhag 1000 pillars hai jo puri tarah white marble se bane hue hai, jin par badi hi bariki se ki gayi nakkashi dekhne ko milti hain. Kuch log ye bhi kehte hai ki is mandir ke pillars ko count nahi kar sakte. Maze ki baat ye hai ki, 1000 pillars hone ke bavjud bhi yaha ek bhi aisa pillar nahi jo same dikhai de.4. Sunlight Effect On Pillars
Yaha, suraj ki roshni white marbles par kuch aisi padti hai jisse kuch waqt ke liye mandir ka white marble neela(blue) aur pila(yellow) dikhai deta hain. Agar is mandir ki khubsurati ke baare me bataye toh ye shabdo se pare hain.5. Temple Architecture, Sculpture And Craft
Is mandir ka architecture, sculpture aur craft ka ek bhot hi khubsurat mishran se bana hua hain. Kai Log/Foreigner is temple ka architecture aur craft dekhne ke liye bhot dur-dur se aate hain.6. Leather Articles, Wallet and Belts
Is temple me leather article, wallets aur belts allow nahi hain. Mandir ke andar jaane se pehle hume sabhi chize lockers me rakhwani padti hain.7. Ranakpur Temple Meal
Dekha jaye toh ranakpur me area me kai chote-chote restaurants hain.Lekin agar aap chahe toh 50INR dekar aap is mandir me hi khana kha sakte hain. Yaha sirf veg. khana hi milta hai, jo ki kaafi delicious hain.8. Audio Guide Available
Is temple ko aur iski history ko agar aap aur acchi tarah janna chahte hai toh audio guide's isme aapki kaafi help kar sakte hain. Ranakpur Jain Temple me aapko kaafi audio guide's dekhne ko mil jayenge.9. History
Ranakpur Jain Temple ek Jain businessman- Dharna Shah ne 15th Century me banvaya tha. Ranakpur temple ka naam Rana Kumbha ke naam par rakha gaya tha.10. Wonders Of India
Ranakpur Jain Temple ko banne me 50 saal lage. Is mandir ko India ke 7 khubsurat architectural beauty me bhi count kiya gaya hain."Top 10 Amazing Things About Ranakpur Jain Temple" ka ye article pasand aaya ho, toh ise apne friends ke sath social sites facebook, google plus par jarur share kare Thanks.
Excellent Blog! I was planning to participate in Ranakpur festival 2019 and was looking for some good places to visit in Rajasthan. Your blog has motivated me to plan a trip to the alluring Ranakpur jain temple . I hope to enjoy a memorable vacation with my family.
ReplyDelete